Amrita pritam- Parchaaiyo ko pakar ney walo chati mey jalti hui aag ki koi parchai nahi
hoti-Rohani ishq ka agar koi jismani roop hotah toh woh humari sabki pyari Amritaji hoti.Ek
aisi sakhsiyath jinke bare meh bohot logo neh bohot kuch kaha hai.Ek aisi kalakar jinhoney
apni zindegi ka har panna,har dukh,har dard,apney kalah key madhyam sey nichor key rakh
dia hai.Unko padho toh aisa lagta hai woh aap hi ko apse mila rahi hai.
Amrita pritam meri nazro sey
amritaji kuch 10-12 saal ki thi jab unnhoney likhna suru kia,Issi asha mey woh likhti rahi ki
apni leykhni sey prabhabit hokar unki pitaji ki woh anchahi sey chaahi baan jayengi,Issi
doraan unki maa ki bhi mritiyu ho gayi .unki maa ka unpar bohot gehra prabhav padha.
woh apni atma katha mey likhti
hai
apne maa key charpai keh samne beethi thi iswar sey prathana kar rahi thi meri maa ko mat
marna ,mene kisiko kehte huye suna kih iswar baccho ki baat nahi taaltah,lekin kuch der
baad kamre meh sannata chaah gaya,meri maa ki chiikeh ana bandh ho gayi,lagta hai iswar
kisi ki nahi suntah baccho ki bhi nahi.
Meh apni pitaji key pass gayi aur mene kaha ki iswar koi nahi hota iswar jaisi koi cheez hi
nahi hoti,mene kaha unsey ki meri maa ko mat marna dkho unho ney kya kia.tab mere pitaji
neh kaha deykha kya tumne uneh woh dikhai kaha dete hai,mene kaha kya usey sunai bhi
nahi deta?..
“Maajbur”–written by amrita pritam
“meri maa ki kokh majboor thi .
…main bhi to ek insaan huh
aazadiyon ki takkar mein
..uss chot ka nishaan huh..
uss haadse ki lakeer huh
jo meri maathe par lagni zaroor thi..
meri maa ki kokh mazboor thi..”
“main woh laanat huh
jo insaan par paad rahi hai.. ek zakhm ka nishan huh
..main maa ke jism ka daag huh.. zulm ka woh bojh huh
..jo meri maa uthati rahi..
meri maa ko apne pet se
ek durgandh si aati rahi..
kon jaane kitna muskil hai
ek zulm ko apne pet mey palna..”
“Dristikon” written by AMRITA PRITAM
“har ek umar ka ek tukda roz zibah{murder} hotah hai..
insaan ke ikhtiyaar mein sirf itna hai-ki zibah hue tukde ko wo ghabra ke fek de, aur dare..
yah toh phir use kabab ki tarah bhoone kar khayee aur..
saanson ki sharaab peeta hua agley tukde ka intezaer kare..”
Itihash keh panney amritaji ke nazro sey humare nazroh takh-AMRITA PRITAM
1947 main amritaji neh desh ka bibhajan deykhaa..har tarah key mulya
samajik,dharmik,rajnitik sab bikhar gaye the..log apne dukho ki kahani keh keh kar thak gaye
the..phir bhi aisa lag raha tha jaise yeh kahaniya unke marne key bad bhi khatam nahi hongi..
woh apni atmakatha main likhti hai ki-Bahar ki ghor andhera kisi itihas key saman lag raha
tha..hawao ka shor kuch aise lag raha tha ki jaise woh itihash key panno pey beyth kar roh
rahi ho aur maine kapteh hatho sey yeh kabita likhi hai-
“Aaj Waaris shah main tumse keh rahi huh apni kabr mein so bolo
Ishq ki kitaab ka koi naya panna kholo,
Ek beti Punjab ki royi thi tune daastaan lambi likhi thi
Aaj laakhon betiyaan ro rahi hain- Waaris shah,ye main tum se keh rahi hun.”
Mere liye “RAJNEETI” ek classic film hai_-AMRITA PRITAM
“suna hai rajneeti ek classic film hai, Hero:bahumukhi prtibha ka malik roz apna nam
badalta hai
heroine:hukum ki kursi wahi rehti hai,Extra: Lokh sabha aur rajya sabha ke member,
financer:dihaadi ke majdorr,kaamgar aur kehtihar{finance karte mahim,karwaye jaate hain}
sansad;indoor shooting ka saadhan ,akhbar {news paper}:outdoor shooting ka saadhan
aur yeh film mene dekhi nahi sirf suni hai kyonki censor ka kehna hai- “not for adults”
Sahirji ko likha hua khat: Amrita pritam
16 saal ki umar main meri saadi pritam ji sey ho gayi..bachpan se hi mere sapno main ek
sawla saya[shadow] aya karta tha .Main jaha jati woh saya mere sath chal padta thaa..jab
mene pehli bar sahir ki awaz suni mujhe laga woh saya sahir ka hai..
Ekdin sahirji mere kamre main aaye ek nazam likhh key..aur mujhe woh nazm sunai aur kaha
ki .yeh nazam main jo ladki hai woh koi nahi..aur iss nazam main jis jagah ka zikr hai woh
bhi koi nahi…
main woh kagaj unnhe lotaney lagi unhoney kaha ki main yeh kagaj wapas leh janey k liye
nahi aya..mujhe aisa laga jaise raat key sare taare meri jholi meh gir gaye ho aur mere dil
main dhadak neh lage ho…uskey bad main jab bhi nazam likhhti hu mujhe aisa lagta hai kih
main har nazam sahirji ko hi likh rahi hun..
Baatein written by A.pritamji
maine pal ke liye aasman ko milna tha par ghabraai hui khadi thi
ki baadalon ki bheed se kaise guzrungi..
maine uske paas baith kar dhuni ki aag chhedi kaha- ye teri aur meri batein ..
par humari baatein baadalon ka hujoom sunega tab bata yogi!tu mera kya banega?
Cigarette written by A.pritamji
“ye aag ki baat hai tune mujhe sunai hai ..yeh zindegi ki wo hi cigarette hai jo tune kabhi
sulgai thi..
umar ki cigarette jal gayi mere ishq ki mahak..kuch teri saanson mein kuch hawa mein mil
gayi..
dekho ye aakhri tukda hai ungliyon mein se chood do …kahin mere ishq ki aanch tumhari
ungli na chhu le..
zindegi ka aab gaam nahi iss aag ko sambhaal le..main tere hath ki khair mangti hun tu ek aur
cigarette jala le!”
Sapno ka zikr: Amrita pritam
Mere sapne main ek bujurgh aaye aur mujhe ek kahani sunane lage..
Ek aurat ki kahani..usne badi sachhe man se kisi sey pyar kia mohabbat ki par uski mohabbat
parwan nahi chad payi..usney puri zindegi samajik galat mullyo par nichwar kar dia
..aur issi dukh main woh jiti rahi ki woh apni hisab se zindegi jih nahi payi.
Aur phir ekdin woh mar gayi..usey dafna dia gaya.Lekin pata nahi uske kabr par tin phool
nikal ayye… tin gulap ke phul.. ek kala ek safedh aur ek lal ..
na kisi neh deykh bhal ki..na kisi neh pani dia
..lekin deykhte hi deykhte woha peh phulo ka bagicha ban gaya.
Log kehte hai ki usne jo mohabbat k geet likhe thee woh lal rang key phol baan gaye.
.jo usne dukhh key geet likhe the woh kale rang key phul baan gaye ..aur usne jo manab prem
geet likhe woh safedh rang key phul baann gaye..
Tab main[amrita pritam]upar se niche tak sihar gayi..aap hain kon ? aap meri hi kahani mujhe
hi sunah rahe hai..usne kaha main samay hu..
written by A.pritamji
ek dard tha jo cigarette ki tarah maine piya ..
aur kuchh nazmein hain jo cigarette ki raakh ki tarah maine jhadi hain.
“Mera pata” written by A.pritamji
aaj maine apne ghar ka number mitaya hai aur gali ke maathe par lagaya hai
gali ka naam hataya hai har sadak ki ..ki disha ka nam maine poonch diya ..
par agar aapko mujhe zaroor paana hai to har desh ke ,
har seher ke har gali ka dwaar khatkhato
ye ek shaap hai,ye ek war hai..aur jahaan bhi azaad rooh ki jhalak pade
samajhna woh mera ghar hai..
”Khali jagah” by A.pritamji
Sirf do rajwaade the ek ne mujhe aur use bedakhaal kiya aur dusre ko hum dono ne tyaag diaa..
usne kaanpte hathoon se mera hath pakda .
kaha chal!kshano ke sir par ek chaat daalein
woh dekh! pare -saanne udhar sach aur jhoot ke beech kuch khali jagah hai.
********************************************************************
2 thoughts on “Latest Facts On Amrita Pritam: Best Biography Amrita Pritam Of 2021”